Monday, May 17, 2010

loving this

Mere mehboob tujhe meri mohabbt ki kasam(repeat)
Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Ae mere khwab ki tasbir meri jaan-e-ghazal
Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai
Raat din mujhko satata hai tasavur tera
Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai
Aa mujhe apni sadaon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazzara dede
Mere mehboob tujhe

Bhool sakti nahin ankhen woh suhana manzar
Jab tera husn mere ishq se takraya tha
Aur phir raha mein bikhre the hazaron naghme
Meri woh naghme teri awaaz ko de aaya tha
Shazedil ko unhi geeton ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh gadi
Teri ankhon se koi jaam piya tha maine
Mere rug rug mein koi barqse lehrai thi
Jab tere marmari haathon ko chua tha maine
Aa mujhe phir unhi haathon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Maine ik baar teri ek jhalak dekhi hai
Meri hasrat hai ke mein phir tera deedar karoon
Tere saaye ko samajh kar mein haseen Taj Mahal
Chandni raat me nazaronse tujhe pyar karoon
Apni mehki hui zulfon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Dhoond tha hoon tujhe har raah mei har mehfil mein
Thak gaye hai meri majboor tamanna ki kadam
Aaj ka din meri umeed ki hai aakhri din
Kal na jaane mei kahan aur kahan tu hai sanam
Do ghadi apni nigahon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Saamne aa ke zara parda utha de rukh se
Ik yahi mera ilaaj-e-ghum-e-tanhai hai
Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko
Ab to milja ke meri jaan pe ban aayi hai
Dil ko bhooli hui yaadon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe

Meri mohabbat ki kasam
Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede
Mera khoya hua rangeen nazara dede
Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
Mere mehboob tujhe

No comments: